Sunday, February 27, 2011

diljalon ka karvaan


sog hai iss hassi mein koi
khauff hai nafaz mein bhra
zayda ki chaah mein
jo tha woh bhi gawa baithe yahaan
yeh diljalon ka hai; karvaan...

chuppi ne hain lab siye
shabad tanhayee ke andheron mein gum hain
saath rehna he kya jab
dilon mein meelon ke faaslein hain
sehmi si galiyaan hain
dehshat mein rehte hain makaan
yeh diljalon ka hai; karvaan...

bheed mein rul kar
sakoon ke yeh pal dhoondte hain
aankhon ke sheeshe mein
toote khwaab riste rehte hain
dil pathhar ka hai chahe
mishri se meethi zubaan
yeh diljalon ka hai; karvaan...
dil jalon ka hai saara; yeh karvaan...

Saturday, February 12, 2011

chah



apni bhi chah girgit ke rangg si rahi...
kissi ke badn se khele to kissi ki rooh talaash ki...