Sunday, March 24, 2013

23rd March



23rd march:

Looking outside through the window pane of the coffee house, i try adjust the mustache in my reflection; I suddenly realize that its 23rd of March and in that moment all the joyous atmosphere vanishes. Pfff! 
The organoleptic cells, that added romance to the place, resisted the rich aroma of the place. In the blink of an eye the contents of the menu became less promising. Checking out all the options 3-4 times, i decided to go with my all tym fav. Soon, I started to look for something that might calm down my tug. Devil's frappe & ghostly brownies seems absurd now.... Awaiting for the strongest coffee, the white napkin with red bubble caught my attention...
After desperately trying for trillions of nano seconds, the white piece engraved in blue didn't seem to make any sense. The urge to write just two lines for the Legends increased my restlessness.
Once soul savior; have failed to provide the necessary outcome...
As i look around the house, i see ppl enjoying there drinks and having a tym of their life.
In one corner on a Japanese, TV, that must have been made in Thailand, India & Aus are playing which except the teenage coffee server nobody is bothering to look at.
Two napkins; and still nothing productive...No words to match the greatness of the legends.

Ghar vapis laut'te samay; raaste ke beecho beech ek khayal zehan mein aa atka.....

checkbook kholkar; ek check ke peechhe yaad rakhne ke liye fauran likh li woh do lines...

zulm khud pe bhi kiye; dilaasa auron ko bhi diya
jeena murdon ko sikhaya; jo khud kuch pal jeeya...
(a tribute to the legends)

                                                 - harry5013

thinking of you..

                                    
andar jo hai koi; bahar bhi ussi ko dekhte hain
door reh kar bhi hume; door kahan rehne deti hai
be-rangg; be-awaaz; be-tarangg si jo
tere khayalon ki mere andar; jo nadi behti hai...
                                                                    - harry5013

Monday, June 4, 2012

sulagti shaam

main jalta hoon; jaane kyu saath saath yeh shaam jalti hai
khwahishein lau pakad
ti hain; phir sulag sulag marti hain,
intezaar aise he har sehar ka tamaam hota hai 
sakoon milta hai; jaise jaise raat dhalti hai.....

Saturday, August 13, 2011

tezab..." random verses of my poetry"

waqt rehte khudgarzi ka; ehsaas ho jaaye
aise gale lag; ke zindagi se pyaar ho jaaye...
kambakht dil anjaane mein kitne dil todd deta hai
kaante chubte hain to dard ka pata chalta hai..
naram dil to ab bas; kapde ke milte hain...
sheeshon ke dilon ne hai khuredna seekh liya...
pyaar kitna bhi ho; hadh mein rehna seekh
zayda kareeb aane se; daraarein ubhar aati hain...
door nahi hoon tumse; khud ki talaash mein gum hoon,
nayi bahaar mein phir mera wahi roop hoga...
mosalsal dard ki mere; anant dastaan hai,
roz raat dhalti to hai; par subah nahi hoti...
( mosalsal: never ending, anant: endless )


Sunday, May 22, 2011

old days


haal-e-dil kya khaak sunoge

dard mein bhi maze ki baat dhoondoge

pehle dhoondoge ishq ko khwabon mein apne
phir kissi dilkash par woh naqaab bunoge

ungliyaan kab lambi ho gayi pata na chala
kachi umar mein bheegokar guzri bahaar dhoondoge

waqt se mitt jaaye galtiyaan aisa kahan hota hai
naye thhikano pe purane yaar dhoondoge

khidki ke bhoot se ab dar nahi lagta
daroge jab khud ko nangi aankh miloge

kiraaye pe milne lagi hain bhale ishq ki raatein
nayi sehar mein phir purana yaar dhoondoge

Friday, March 25, 2011

life

bina hawa ke gubaron jaisi hai zindagi apni
naa he koi khelne wala hai; naa he gudgudee hoti hai...

Sunday, February 27, 2011

diljalon ka karvaan


sog hai iss hassi mein koi
khauff hai nafaz mein bhra
zayda ki chaah mein
jo tha woh bhi gawa baithe yahaan
yeh diljalon ka hai; karvaan...

chuppi ne hain lab siye
shabad tanhayee ke andheron mein gum hain
saath rehna he kya jab
dilon mein meelon ke faaslein hain
sehmi si galiyaan hain
dehshat mein rehte hain makaan
yeh diljalon ka hai; karvaan...

bheed mein rul kar
sakoon ke yeh pal dhoondte hain
aankhon ke sheeshe mein
toote khwaab riste rehte hain
dil pathhar ka hai chahe
mishri se meethi zubaan
yeh diljalon ka hai; karvaan...
dil jalon ka hai saara; yeh karvaan...