Thursday, July 29, 2010

roz subah jab uthta hai bharat


ek nayi umang ko dil mein liye

zakhmo se lattpatt, haath jode
surya namaskar ko, jab jhhukta hai bharat
roj subah jab uthta hai bharat...

shuru hoti hai jung roz marra ki,
ek nayi umeed se, khhoye sapno ko paane ki
intezaar, shor aur jaldi kahin jaane ki
bheed karadon ki; daud mashino ki mein
khauff ki khabron se subah jab, thhirakta hai bharat
roj subah jab uthta hai bharat...


traffic mein ghira, aakrosh se bhara aadmi
sukhi zameen se, banjar sapno ko tolta aadmi
sukhe huye khhet, aur baadh mein doobe gaayon
kahin bhookh mitane ko bikta aadmi
teekhi dhoop mein jalta, mayooosi se bhara,
laal signal pe kuch pal, jab rukta hai bharat.
roj subah jab uthta hai bharat...


bachpan guzar jaata hai bhookh se ladte ladte
bhasha ke dangge mein, mil jaate hain ghar sulagte
aaye din sarhadon pe apno ka khoon behta hai
roothe huye megh, aur khhokhli baharon se
laachaar, bebas andar se toota huya
jab shaam ko kothe pe bikta hai bharat
roj subah jab uthta hai bharat...

andhera hote he khauff, galiyon mein ghumne lagta hai,
ghar ke andar ki hassi bhi sehmi si sunti hai
scandal, corruption, ke beech sachin ka shhatak ki charcha
kuch chutkulon pe hass kar, aur saas bahu se haar kar
gam ki chadar odde, jab bilakta hai bharat
roj subah jab uthta hai bharat...

ek nayi umang ko dil mein liye
toote sapno ko paane ki zidd mein
ek baar phirse, jab chamakta hai bharat
roj subah jab uthta hai bharat...
roj subah jab uthta hai bharat...

Tuesday, July 6, 2010

to baat aur hai...


har raat sisakti, bilakti; roshni ko tadapti hai
kissi roz teri zulfon ki; chhaon mil jaaye to baat aur hai...

chand ki chandani paane ki aarzoo; to saikdon ki hai
uss ki tanhayee pe; koi mar mitte to baat aur hai...

jamaal-e-gulzaar kissi ghulaab ka mohtaaz nahi
koi husn uss gul ko; chhoo jaaye to baat aur hai...
jamaal - khoobsurat, beauty ; gulzaar - baag, garden

teri yaddon se swaad se; kab ke tauba kar chuke
rukhsaar se fisalkar koi aansu; labh choom jaaye to baat aur hai
rukhsaar - gaal, cheeks

nihaan mukhhote ke peechhe ka; khalish numaa hai
aahaat ghungrooyon ki; koi samjh jaaye to baat aur hai...
nihaan - secret, hidden ; khalish - pain ; numaa - mijaz

yun to mere shabdon ko; itni tabazo nahi dete yeh log
kissi aashaar mein tera naam; aa jaaye to baat aur hai...
aashaar - couplet, sher